hujūm-e-dard  meñ  ḳhandāñ  hai  kaun  mere  sivā
harīf-e-gardish-e-daurāñ  hai  kaun  mere  sivā
davā-e-dil  ke  liye  apne  paas  aayā  huuñ
ki  mere  dard  kā  darmāñ  hai  kaun  mere  sivā
ye  ham-safar  to  chaman  tak  ke  ham-safar  Thahre
mirā  rafīq-e-bayābāñ  hai  kaun  mere  sivā
sitāra-e-shab-e-ġham  kis  pe  muskurā.eñge
fareb-ḳhūrda-e-paimāñ  hai  kaun  mere  sivā
vo  aadmī  hī  to  insāniyat  kā  dushman  hai
jo  kah  rahā  hai  ki  insāñ  hai  kaun  mere  sivā
pukārtī  haiñ  mujhī  ko  tamām  zanjīreñ
zabān-e-halqa-e-zindāñ  hai  kaun  mere  sivā
mirā  pata  to  kisī  gul  se  pūchh  lo  ki  'shamīm'
chaman  meñ  chāk-garebāñ  hai  kaun  mere  sivā