nuur  kī  kiran  us  se  ḳhud  nikaltī  rahtī  hai
vaqt  kaTtā  rahtā  hai  raat  Dhaltī  rahtī  hai
aur  zikr  kyā  kiije  apne  dil  kī  hālat  kā
kuchh  bigaḌtī  rahtī  hai  kuchh  sambhaltī  rahtī  hai
zehn  ubhār  detā  hai  naqsh  haal  o  maazī  ke
in  dinoñ  tabī.at  kuchh  yuuñ  bahaltī  rahtī  hai
tah-nashīn  maujeñ  to  pur-sukūn  rahtī  haiñ
aur  sat.h-e-dariyā  kī  mauj  uchhaltī  rahtī  hai
chāhe  apne  ġham  kī  ho  yā  ġham-e-zamāna  kī
baat  to  bahar-sūrat  kuchh  nikaltī  rahtī  hai
zindagī  hai  naam  us  kā  tāzgī  hai  kaam  us  kā
ek  mauj-e-ḳhūñ  dil  se  jo  ubaltī  rahtī  hai
kaif  bhī  hai  mastī  bhī  zahr  bhī  hai  amrit  bhī
vo  jo  jām-e-sāqī  se  roz  Dhaltī  rahtī  hai
aaj  bhī  burī  kyā  hai  kal  bhī  ye  burī  kyā  thī
is  kā  naam  duniyā  hai  ye  badaltī  rahtī  hai
hotī  hai  vo  sheroñ  meñ  mun.akis  kabhī  'ejāz'
muddatoñ  ghuTan  sī  jo  dil  meñ  paltī  rahtī  hai