Shamim Karhani

zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
zahr ko mai dil-e-sad-pāra ko miinā na kaho
daur aisā hai ki piine ko bhī piinā na kaho
na batāo ki tabassum bhī hai ik zaḳhm kā naam
chaak hai kis liye insān kā siina na kaho
kam-nigāhoñ kā hai farmān ki ai dīda-varo
kis liye tum ko milā dīda-e-bīnā na kaho
rakh do ilzām kisī mauja-e-māsūm ke sar
nā-ḳhudāoñ ne Duboyā hai safīna na kaho
har nafas maut kī baḳhshī huī mohlat jaise
koī jiinā hai ye jiinā ise jiinā na kaho
ye to fankār kī mehnat kā sila hai yaaro
mere māthe ke pasīne ko pasīnā na kaho
sañg-rezoñ ko kahīñ Thes na lag jaa.e 'shamīm'
maslahat hai ki nagīne ko nagīna na kaho
Top Urdushayar.com