nā-sazā  ālam-e-imkāñ  meñ  sazā  lagtā  hai
nā-ravā  bhī  kisī  mauqe  pe  ravā  lagtā  hai
yuuñ  to  gulshan  meñ  haiñ  sab  mudda.ī-e-yak-rañgī
bāvajūd  is  ke  har  ik  rañg  judā  lagtā  hai
kabhī  dushman  to  kabhī  dost  kabhī  kuchh  bhī  nahīñ
mujhe  ḳhud  bhī  nahīñ  mālūm  vo  kyā  lagtā  hai
is  kī  bātoñ  meñ  haiñ  andāz  ġhalat  samtoñ  ke
ho  na  ho  ye  to  koī  rāh-numā  lagtā  hai
na  haTā  is  ko  mire  jism  se  ai  jān-e-hayāt
haath  terā  mire  zaḳhmoñ  ko  davā  lagtā  hai
duur  se  ḳhud  mirī  sūrat  mujhe  lagtī  hai  bhalī
jaane  kyuuñ  paas  se  har  shaḳhs  burā  lagtā  hai
roktā  huuñ  to  ye  ruktā  hī  nahīñ  hai  'ejāz'
mujhe  har  roz-o-shab-e-vaqt  havā  lagtā  hai