mil  sakegī  ab  bhī  dād-e-ābla-pā.ī  to  kyā
fāsle  kam  ho  ga.e  manzil  qarīb  aa.ī  to  kyā
hai  vahī  jabr-e-asīrī  aur  vahī  ġham  kā  qafas
dil  pe  ban  aa.ī  to  kyā  ye  ruuh  ghabrā.ī  to  kyā
apnī  be-tābī-e-dil  kā  ḳhud  tamāshā  ban  ga.e
aap  kī  mahfil  ke  bante  ham  tamāshā.ī  to  kyā
baat  to  jab  hai  ki  saarā  gulistāñ  hañsne  lage
fasl-e-gul  meñ  chand  phūloñ  kī  hañsī  aa.ī  to  kyā
laao  in  be-kaifiyoñ  hī  se  nikāleñ  rāh-e-kaif
vaqt  ab  legā  koī  pur-kaif  añgḌā.ī  to  kyā
kam-nigāhī  ne  use  kuchh  aur  gahrā  kar  diyā
vo  chhupāte  hī  raheñ  rañg-e-shanāsā.ī  to  kyā
phir  zarā  sī  der  meñ  chauñkā.egā  ḳhvāb-e-sahar
āḳhir-e-shab  jāgne  ke  ba.ad  niiñd  aa.ī  to  kyā
beḌiyāñ  vahm-e-ta.alluq  kī  na.ī  pahnā  ga.e
dost  aa  kar  kāTte  zanjīr  tanhā.ī  to  kyā
shorish-e-afkār  se  'ejāz'  dāmānda  sahī
chhin  sakegī  phir  bhī  fikr-o-fan  kī  ra.anā.ī  to  kyā