hameñ  to  mai-kade  kā  ye  nizām  achchhā  nahīñ  lagtā
na  ho  sab  ke  liye  gardish  meñ  jaam  achchhā  nahīñ  lagtā
kabhī  tanhā.ī  kī  ḳhvāhish  ye  hotī  hai  ki  logoñ  kā
payām  achchhā  nahīñ  lagtā  salām  achchhā  nahīñ  lagtā
ḳhudā  se  lau  lagā.eñ  yā  ḳhudā.ī  se  rahe  rishta
faqat  apnī  ḳhudī  kā  ehtirām  achchhā  nahīñ  lagtā
jabīn-e-pur-shikan  ḳhāsān-e-ālam  kī  nahīñ  bhātī
magar  ye  bhī  hai  ġhauġhā-e-āvām  achchhā  nahīñ  lagtā
na  ḳhushbū  pairahan  kī  hai  na  zulfoñ  kī  na  bātoñ  kī
hameñ  ye  jalva-e-bālā-e-bām  achchhā  nahīñ  lagtā
mayassar  ho  to  qadre  lutf  bhī  nemat  hai  yaañ  yaaro
kisī  kā  vāda-e-aish-e-davām  achchhā  nahīñ  lagtā
ye  sastī  lazzatoñ  sastī  siyāsat  ke  pujārī  haiñ
hameñ  ahbāb  kā  saudā-e-ḳhām  achchhā  nahīñ  lagtā
jahāñ  harkat  nahīñ  hotī  vahāñ  barkat  nahīñ  hotī
'surūr'  ab  vādi-e-gul  meñ  qayām  achchhā  nahīñ  lagtā