jis  ne  kiye  haiñ  phuul  nichhāvar  kabhī  kabhī
aa.e  haiñ  us  kī  samt  se  patthar  kabhī  kabhī
ham  jis  ke  ho  ga.e  vo  hamārā  na  ho  sakā
yuuñ  bhī  huā  hisāb  barābar  kabhī  kabhī
yaañ  tishna-kāmiyāñ  to  muqaddar  haiñ  ziist  meñ
miltī  hai  hausle  ke  barābar  kabhī  kabhī
aatī  hai  dhaar  un  ke  karam  se  shu.ūr  meñ
dushman  mile  haiñ  dost  se  behtar  kabhī  kabhī
manzil  kī  justujū  meñ  jise  chhoḌ  aa.e  the
aatā  hai  yaad  kyuuñ  vahī  manzar  kabhī  kabhī
maanā  ye  zindagī  hai  fareboñ  kā  silsila
dekho  kisī  fareb  ke  jauhar  kabhī  kabhī
yuuñ  to  nashāt-e-kār  kī  sarshāriyāñ  milīñ
anjām-e-kār  kā  bhī  rahā  Dar  kabhī  kabhī
dil  kī  jo  baat  thī  vo  rahī  dil  meñ  ai  'surūr'
khole  haiñ  garche  shauq  ke  daftar  kabhī  kabhī