jab  kabhī  baat  kisī  kī  bhī  burī  lagtī  hai
aisā  lagtā  hai  ki  siine  meñ  chhurī  lagtī  hai
raat  bhārī  thī  to  the  us  ke  sitam  se  be-zār
sub.h  aa.ī  hai  to  vo  aur  burī  lagtī  hai
vo  ho  ārā.ish-e-afkār  ki  zebā.ish-e-fan
aaj  donoñ  kī  ravish  ḳhāna-purī  lagtī  hai
log  māñge  ke  ujāle  se  haiñ  aise  mar.ūb
raushnī  apne  charāġhoñ  kī  burī  lagtī  hai
ahl-e-dānish  hue  arbāb-e-siyāsat  ke  murīd
aisī  pastī  pe  mire  dil  meñ  chhurī  lagtī  hai