shaguftagī-e-dil-e-vīrāñ  meñ  aaj  aa  hī  ga.ī
ghaTā  chaman  pe  bahāroñ  ko  le  ke  chhā  hī  ga.ī
hayāt-e-tāza  ke  ḳhatroñ  se  dil  dhaḌaktā  thā
havā  chalī  to  kalī  phir  bhī  muskurā  hī  ga.ī
naqāb  meñ  bhī  vo  jalve  na  qaid  ho  paa.e
kiran  diloñ  ke  añdhere  ko  jagmagā  hī  ga.ī
taġhāful  ek  bharam  thā  ġhurūr-e-jānāñ  kā
mirī  nigāh-e-mohabbat  kā  ramz  pā  hī  ga.ī
mutālbe  to  bahut  saḳht  the  zamāne  ke
magar  huqūq-e-mohabbat  kī  yaad  aa  hī  ga.ī
mire  junūñ  kī  ḳhalish  se  ab  aur  kyā  hotā
sukūt-e-ahl-e-ḳhirad  ko  to  aazmā  hī  ga.ī
matā-e-qalb-o-nazar  ḳhaak  hote  hote  bhī
jahān-e-husn  kī  kuchh  aabrū  baḌhā  hī  ga.ī
thapak  thapak  ke  sulāyā  jo  tum  ne  zauq-e-suḳhan
'surūr'  is  ko  kisī  kī  nazar  jagā  hī  ga.ī