navā-e-shauq  meñ  shorish  bhī  hai  qarār  bhī  hai
ḳhirad  kā  paas  bhī  ḳhvāboñ  kā  kārobār  bhī  hai
hazār  baar  bahāroñ  ne  dukh  diyā  mujh  ko
na  jaane  kyā  kyā  hai  bahāroñ  kā  intizār  bhī  hai
jahāñ  meñ  ho  ga.ī  nā-haq  tirī  jafā  badnām
kuchh  ahl-e-shauq  ko  dār-o-rasan  se  pyaar  bhī  hai
mire  lahū  meñ  ab  itnā  bhī  rañg  kyā  hotā
tarāz-e-shauq  meñ  aks-e-ruḳh-e-nigār  bhī  hai
mire  safīne  ko  sāhil  kī  justujū  hī  nahīñ
sitam  ye  hai  kisī  tūfāñ  kā  intizār  bhī  hai
chaman  hī  ik  nahīñ  ā.īna  merī  mastī  kā
gavāh  josh-e-junūñ  kī  zabān-e-ḳhār  bhī  hai
ġhurūr-e-ishq  ġhurūr-e-vafā  ġhurūr-e-nazar
'surūr'  tere  gunāhoñ  kā  kuchh  shumār  bhī  hai