jabr-e-hālāt  kā  to  naam  liyā  hai  tum  ne
apne  sar  bhī  kabhī  ilzām  liyā  hai  tum  ne
mai-kashī  ke  bhī  kuchh  ādāb  baratnā  sīkho
haath  meñ  apne  agar  jaam  liyā  hai  tum  ne
umr  guzrī  hai  añdhere  kā  hī  mātam  karte
apne  shole  se  bhī  kuchh  kaam  liyā  hai  tum  ne
ham  faqīroñ  se  satā.ish  kī  tamannā  kaisī
shahryāroñ  se  jo  in.aam  liyā  hai  tum  ne
qarz  bhī  un  ke  muānī  kā  adā  karnā  hai
garche  lafzoñ  se  baḌā  kaam  liyā  hai  tum  ne
un  usūloñ  ke  kabhī  zaḳhm  bhī  khaa.e  hote
jin  usūloñ  kā  bahut  naam  liyā  hai  tum  ne
lab  pe  aate  haiñ  bahut  zauq-e-safar  ke  naġhme
aur  har  gaam  pe  ārām  liyā  hai  tum  ne