nizām-e-fikr  ne  badlā  hī  thā  savāl  kā  rañg
jhalak  uThā  ka.ī  chehroñ  se  infi.āl  kā  rañg
na  gul-kadoñ  ko  mayassar  na  chāñd-tāroñ  ko
tire  visāl  kī  ḳhushbū  tire  jamāl  kā  rañg
zarā  sī  der  ko  chehre  damak  to  jaate  haiñ
ḳhushī  kā  rañg  ho  yā  ho  ġham-o-malāl  kā  rañg
zamāna  apnī  kahānī  sunā  rahā  thā  hameñ
ubhar  gayā  magar  āġhāz  meñ  ma.aal  kā  rañg
asīr-e-vaqt  hai  to  maiñ  huuñ  vaqt  se  āzād
tire  uruuj  se  achchhā  mire  zavāl  kā  rañg
ba-sān-e-taḳhta-e-gul  merī  fikr  hai  āzād
misāl-e-qaus-e-quzah  hai  mire  ḳhayāl  kā  rañg