dāstān-e-shauq  kitnī  baar  dohrā.ī  ga.ī
sunñe  vāloñ  meñ  tavajjoh  kī  kamī  paa.ī  ga.ī
fikr  hai  sahmī  huī  jazba  hai  murjhāyā  huā
mauj  kī  shorish  ga.ī  dariyā  kī  gahrā.ī  ga.ī
husn  bhī  hai  maslahat-bīñ  ishq  bhī  duniyā-shanās
aap  kī  shohrat  ga.ī  yāroñ  kī  rusvā.ī  ga.ī
ham  to  kahte  the  zamāna  hī  nahīñ  jauhar-shanās
ġhaur  se  dekhā  to  apne  meñ  kamī  paa.ī  ga.ī
zaḳhm  milte  haiñ  ilāj-e-zaḳhm-e-dil  miltā  nahīñ
vaz-e-qātil  rah  ga.ī  rasm-e-masīhā.ī  ga.ī
gard  uḌaa.ī  jo  siyāsat  ne  vo  āḳhir  dhul  ga.ī
ahl-e-dil  kī  ḳhaak  meñ  bhī  zindagī  paa.ī  ga.ī
merī  maddham  lai  kā  jaadū  ab  bhī  baaqī  hai  'surūr'
fasl  ke  naġhme  ga.e  mausam  kī  shahnā.ī  ga.ī