zanjīr  se  junūñ  kī  ḳhalish  kam  na  ho  sakī
bhaḌkī  agar  ye  aañch  to  maddham  na  ho  sakī
badle  bahār-e-lāla-o-gul  ne  hazār  rañg
lekin  jamāl-e-dost  kā  aalam  na  ho  sakī
kyā  kyā  ġhubār  uThā.e  nazar  ke  fasād  ne
insāniyat  kī  lau  kabhī  maddham  na  ho  sakī
ham  laakh  bad-maza  hue  jām-e-hayāt  se
jiine  kī  pyaas  thī  ki  kabhī  kam  na  ho  sakī
jo  jhuk  ga.ī  jabīñ  tire  naqsh-e-qadam  kī  samt
tā-zīst  phir  vo  aur  kahīñ  ḳham  na  ho  sakī
mujh  se  na  pūchh  apnī  hī  teġh-e-adā  se  pūchh
kyuuñ  terī  chashm-e-lutf  bhī  marham  na  ho  sakī
kitne  rumūz-e-shauq  in  āñkhoñ  meñ  rah  ga.e
jin  se  nigāh-e-dost  bhī  mahram  na  ho  sakī
mauj-e-nasīm  apnī  bahāreñ  luTā  ga.ī
lekin  ḳhizāñ  kī  muda-dilī  kam  na  ho  sakī
allāh-re  ishtiyāq  nigāh-e-umīd  kā
kho.e  ho.uuñ  kī  yaad  meñ  pur-nam  na  ho  sakī
gul-kārī-e-nazar  ho  ki  rañg-e-jamāl-e-dost
kuchh  baat  thī  ki  ziist  jahannam  na  ho  sakī
in  kī  jabīñ  pe  ḳhair  se  ik  rañg  aa  gayā
merī  vafā  agarche  musallam  na  ho  sakī
apne  hī  ghar  kī  ḳhair  manā.ī  tamām  umr
ham  se  'surūr'  fikr-e-do-ālam  na  ho  sakī