dil-dādgān-e-lazzat-e-ījād  kyā  kareñ
sailāb-e-ashk-o-āh  pe  buniyād  kyā  kareñ
karnā  hai  ban  ko  taaza  nihāloñ  kī  dekh  bhaal
biitī  huī  bahār  ko  vo  yaad  kyā  kareñ
haañ  jaan  kar  umiid  kī  maddham  rakhī  hai  lau
ab  aur  pās-e-ḳhātir-e-nāshād  kyā  kareñ
sañgīñ  haqīqatoñ  se  kahāñ  tak  malūl  hoñ
rānā.i-e-ḳhayāl  ko  barbād  kyā  kareñ
dekho  jise  liye  hai  vo  zaḳhmoñ  kī  kā.enāt
ham  ek  apne  zaḳhm  pe  fariyād  kyā  kareñ
rindoñ  kī  aarzū  kā  talātum  kahāñ  se  laa.eñ
āsūdgān-e-masnad-e-irshād  kyā  kareñ
kis  ko  nahīñ  sukūn  kī  ḳhvāhish  jahān  meñ
uftādgān-e-rahguzar-e-bād  kyā  kareñ
jo  har  nazar  meñ  taaza  kareñ  mai-kade  hazār
sach  hai  'surūr'-e-rafta  ko  vo  yaad  kyā  kareñ