aaj  se  pahle  tire  mastoñ  kī  ye  ḳhvārī  na  thī
mai  baḌī  ifrāt  se  thī  phir  bhī  sarshārī  na  thī
ek  ham  qadroñ  kī  pāmālī  se  rahte  the  malūl
shukr  hai  yāroñ  ko  aisī  koī  bīmārī  na  thī
zehn  kī  parvāz  ho  yā  shauq  kī  rāmish-garī
koī  āzādī  na  thī  jis  meñ  giraftārī  na  thī
josh  thā  hañgāma  thā  mahfil  meñ  terī  kyā  na  thā
ik  faqat  ādāb-e-mahfil  kī  nigah-dārī  na  thī
un  kī  mahfil  meñ  nazar  aa.e  sabhī  sho.ala-ba-kaf
apne  dāman  meñ  magar  koī  bhī  chiñgārī  na  thī
kal  isī  bastī  meñ  kuchh  ahl-e-vafā  hote  to  the
is  qadar  ahl-e-havas  kī  garm-bāzārī  na  thī
husn  kāfir  thā  adā  qātil  thī  bāteñ  sehr  thiiñ
aur  to  sab  kuchh  thā  lekin  rasm-e-dildārī  na  thī