ye  daur  mujh  se  ḳhirad  kā  vaqār  māñge  hai
dil  ab  bhī  shauq  ke  lail-o-nahār  māñge  hai
jahāñ  meñ  kis  ko  gavārā  huī  hai  fikr  kī  dhuup
har  ik,  koī  shajar-e-sāya-dār  māñge  hai
zabān  lāla-o-gul  meñ  basī  huī  hai  magar
zamāna  lafz  meñ  ḳhanjar  kī  dhaar  māñge  hai
akele-pan  kā  ye  ehsās  ham-nafas  kī  talāsh
baḌhī  huī  jo  ye  talḳhī  hai  pyaar  māñge  hai
ye  aadmī  mire  ḳhvāboñ  kā  saath  kyā  detā
haqīqatoñ  se  jo  akasr  farār  māñge  hai
ab  in  meñ  apnā  lahū  ho  ki  koī  shoḳh  kiran
varaq  jo  saada  hai  naqsh-o-nigār  māñge  hai
huā  kahāñ  abhī  sadiyoñ  ke  jabr  se  āzād
ḳhudā.ī  par  jo  bashar  iḳhtiyār  māñge  hai
bhikāriyoñ  ko  yahāñ  bhiik  kaun  detā  hai
hai  sāda-lauh  jo  duniyā  se  pyaar  māñge  hai
vo  dīda-var  jise  pahchāntī  nahīñ  mahfil
tirī  nazar  se  faqat  e'tibār  māñge  hai