siyāh  raat  kī  sab  āzmā.isheñ  manzūr
kisī  sahar  ke  ujāle  kā  aasrā  to  milā
nazar  milā  na  sake  ham  se  vo  to  ġham  kyā  hai
ki  dil  se  dil  ke  dhaḌakne  kā  silsila  to  milā
hai  aaj  aur  hī  kuchh  zulf-e-tābdār  meñ  ḳham
bhaTakne  vaale  ko  manzil  kā  rāsta  to  milā
sarishk-e-chashm  se  motī  bahut  luTā.e  ga.e
tirī  nigah  ke  shahīdoñ  ko  ḳhūñ-bahā  to  milā
jahāñ  nigāh  se  insāñ  banā.e  jaate  haiñ
vo  bāb-e-mai-kada  mere  liye  khulā  to  milā
sitam-zarīf  mohabbat  ko  jurm  kahte  haiñ
gunāh-gār  ko  jiine  kā  aasrā  to  milā
na  rahnumā  hai  na  manzil  dayār-e-ulfat  meñ
qadam  uThāte  hī  ḳhizr-e-shikasta-pā  to  milā
mire  junūñ  ne  khilā.e  haiñ  phuul  sahrā  meñ
mire  junūñ  se  bahāroñ  ko  hausla  to  milā
samajhte  the  ki  vafā-nā-shanās  hai  duniyā
'surūr'  ham  ko  bhī  ik  dard-āshnā  to  milā