tū  payambar  sahī  ye  mo.ajiza  kaafī  to  nahīñ
shā.irī  ziist  ke  zaḳhmoñ  kī  talāfī  to  nahīñ
sāya-e-gul  meñ  zarā  der  jo  sustā.e  haiñ
sāya-e-dār  se  ye  va.ada-ḳhilāfī  to  nahīñ
apnī  duniyā  se  milī  fursat-e-yak-jast  hameñ
āsmāñ  ke  liye  ik  jast  hī  kaafī  to  nahīñ
kisī  chaḌhte  hue  sūraj  kī  parastish  na  karo
dekh  lo  is  meñ  koī  sho.abada-bāfī  to  nahīñ
tishnagī  ham  ko  milī  tum  hue  sairāb  to  kyā
in  muqaddar  kī  sazāoñ  se  muāfī  to  nahīñ
dev-mālā  kā  dhuñdlakā  ho  ki  ḳhvāboñ  kī  kiran
aaj  kī  ā.īna-sāzī  kī  munāfī  to  nahīñ
ḳhvāb  Takrāo  haqīqat  se  ki  sho.ale  nikleñ
is  añdhere  meñ  diyā  ek  hī  kaafī  to  nahīñ