bhūkī  hai  zamīñ  bhuuk  ugaltī  hī  rahegī
ye  bhuuk  mire  peT  meñ  paltī  hī  rahegī
jīvan  bhī  mirā  dasht  hai  maskan  bhī  mirā  dasht
hoñToñ  pe  mire  pyaas  machaltī  hī  rahegī
dil  meñ  nahīñ  ab  paas  rahā  chain  sukūñ  kā
ik  aag  sī  dil  meñ  hai  ubaltī  hī  rahegī
hastī  ke  ujaḌne  kā  bhalā  dukh  mujhe  kyuuñ  ho
ye  Thokareñ  khā  khā  ke  sambhaltī  hī  rahegī
chehre  na.e  andāz  na.e  taur  na.e  haiñ
duniyā  hai  ye  sau  rañg  badaltī  hī  rahegī
mazkūr  kareñ  kyā  dil-e-majbūr  kā  'nāqid'
ik  huuk  hai  siine  se  nikaltī  hī  rahegī