ab  ke  maidān  rahā  lashkar-e-aġhyār  ke  haath
girvī  us  paar  paḌe  the  mire  sālār  ke  haath
zehn  is  ḳhauf  se  hone  lage  banjar  ki  yahāñ
achchhī  taḳhlīq  par  kaT  jaate  haiñ  me.amār  ke  haath
ab  sar-e-qarya-e-be-dast  paḌā  hai  kashkol
roz  kaT  jaate  the  is  shahr  meñ  do-chār  ke  haath
luuT  kuchh  aisī  machī  shahr  kā  dar  khulte  hī
har  taraf  se  nikal  aa.e  dar-o-dīvār  ke  haath
ham  sar-e-shāḳh-e-sināñ  qarya-ba-qarya  mahke
ham  ne  is  jañg  meñ  sar  jiit  liye  haar  ke  haath
sāya-sozī  meñ  to  ham  log  the  sūraj  ke  halīf
ab  hadaf  Thahre  ki  jab  jal  ga.e  ashjār  ke  haath