ban  ke  ik  misra-e-namnāk  nazar  tak  pahuñchā
maujzan  ishq  mirā  arsh-o-qamar  tak  pahuñchā
kis  tarah  bhūlūñ  batā  ḳhauf  se  jarjar  āñkheñ
dekhte  dekhte  paanī  mire  sar  tak  pahuñchā
ishtihāroñ  meñ  hī  gum  ho  ga.ī  kul  āvāzeñ
sab  ne  bas  dekhā  sunā  kaun  ḳhabar  tak  pahuñchā
hukmarānoñ  ko  faqat  vote  se  matlab  varna
kis  ne  muflis  kī  sunī  kaun  idhar  tak  pahuñchā
tum  se  kahte  na  bane  ham  ko  pata  hai  vo  shai
jazba-e-ishq  thā  hoñToñ  se  jigar  tak  pahuñchā
us  ke  jazboñ  kī  badaulat  hī  to  ginnā  sīkhe
vo  ḳhalāoñ  se  laḌā  shunya  bashar  tak  pahuñchā
dil  kā  sab  haal  bayāñ  kar  ga.iiñ  muḳhbir  āñkheñ
rog  paalā  thā  kabhī  aaj  asar  tak  pahuñchā
aap  par  khul  na  sakā  apnī  tabī.at  kā  rumūz
aur  vo  shaḳhs  to  imkān-e-bashar  tak  pahuñchā