Tiis  ik  uTThe  badan  meñ  jvaar  palnā  chāhiye
aap  ke  siine  meñ  ik  sañgrām  chalnā  chāhiye
ham  banā.eñge  dobāra  sone  kī  chiḌiyā  ise
is  na.ī  ummīd  kā  sūraj  nikalnā  chāhiye
ai  siyāsat  ho  mubārak  tū  ne  ye  batlā  diyā
bhaa.ī  ko  bhaa.ī  se  kaise  duur  chalnā  chāhiye
kyā  kahā  tum  ne  tumheñ  ye  rañg  bhāyā  hī  nahīñ
tum  musavvir  ho  tumheñ  har  rañg  phalnā  chāhiye
thī  shahīdān-e-vatan  kī  ik  zarā  sī  aarzū
aur  vo  thī  desh  ko  aage  nikalnā  chāhiye
ab  to  lagtā  hai  ki  ham  ne  koshisheñ  be-kār  kiiñ
apnī  zid  ye  thī  ki  har  sāñche  meñ  Dhalnā  chāhiye
phir  vahī  pāchak  kī  golī  ber  vo  jāmun  ke  din
kyā  tumheñ  lagtā  nahīñ  bachpan  meñ  chalnā  chāhiye
ik  diyā  ho  jis  meñ  ilm-o-dīñ  hunar  kā  tel  ho
ho  charāġh  aisā  to  phir  ghar  ghar  meñ  jalnā  chāhiye