jiit  kar  bhī  phir  se  haarī  zindagī
pūchhiye  mat  kyuuñ  guzārī  zindagī
ik  mahājan  sab  ke  uupar  hai  khaḌā
jis  ne  ham  ko  dī  udhārī  zindagī
chunā  katthā  lag  rahā  hai  aa.e  din
paan  biiḌī  aur  supārī  zindagī
ik  taraf  mahmūd  sā  andāz  hai
ik  taraf  mīnā-kumārī  zindagī
ho  ga.ī  hai  is  'hanī'  se  bor  jab
phir  to  bas  'rāhat'  pukārī  zindagī
chain  kī  phir  niiñd  aa.ī  qabr  meñ
apne  tan  se  jab  utārī  zindagī