vo  sher  sun  ke  mirā  ho  gayā  divāna  kyā
maiñ  sach  kahūñgā  to  mānegā  ye  zamāna  kyā
kabhī  to  aanā  hai  duniyā  ke  sāmne  us  ko
ab  us  ko  DhūñDhne  dair-o-haram  meñ  jaanā  kyā
sunā  hai  kaam  chalāte  ho  tum  bahānoñ  se
udhār  doge  mujhe  bhī  koī  bahāna  kyā
tumhārī  yādoñ  kī  garmī  hai  sard  rātoñ  meñ
lihāf  aise  meñ  ab  oḌhnā  bichhānā  kyā
jalegā  jitnā  bhī  duniyā  ko  raushnī  degā
charāġh-e-ilm-o-hunar  hai  ise  bujhānā  kyā
tabāh  karne  pe  aa.e  to  phir  nahīñ  suntī
vo  narm-rau  hai  nadī  kā  magar  Thikāna  kyā