churā.e  nazreñ  kabhī  muḌ  ke  dekhtā  bhī  hai
ki  tiir  tirchhī  nigāhoñ  ke  pheñktā  bhī  hai
ajiib  shaḳhs  hai  likh  kar  phir  apne  dil  kā  varaq
na  jaane  kaun  sī  vahshat  meñ  moḌtā  bhī  hai
tum  is  pe  chal  ke  mirī  zaat  meñ  chale  aao
ye  pul-sirāt  tumhāre  liye  khulā  bhī  hai
samajh  ke  soch  ke  aanā  ki  is  mohabbat  meñ
jahāñ  sukūn  hai  is  meñ  to  rat-jagā  bhī  hai
maiñ  is  haqīr  ko  āḳhir  ye  kaise  samjhā.ūñ
faqat  ḳhatā  hī  nahīñ  ishq  mo.ajiza  bhī  hai
maiñ  jis  ko  maar  ke  zinda  bhī  rah  nahīñ  saktā
vahī  zamīr  hai  merā  vahī  ḳhudā  bhī  hai
baḌe  jatan  se  milā  hijr-e-dā.imī  mujh  ko
yahī  maraz  hai  mirā  aur  yahī  davā  bhī  hai
bhale  zamāne  ne  bhar  dī  hoñ  talḳhiyāñ  mujh  meñ
mirī  zabān  pe  urdu  kā  zā.iqa  bhī  hai
baḌe  hī  ġhaur  se  suntā  hai  saare  sher  magar
ġhalat  kahan  pe  mujhe  baḌh  ke  Toktā  bhī  hai