is  tarah  ham  ko  jā-ba-jā  kiije
apnī  yādoñ  meñ  mubtalā  kiije
sab  hī  matlab  ke  yaar  haiñ  jānāñ
koī  apnā  nahīñ  hai  kyā  kiije
ishq  vāloñ  kī  shart  aisī  hai
apnī  sūrat  ko  chāñd  sā  kiije
phone  par  baat  ḳhuub  kar  lī  hai
ab  to  milne  kā  hausla  kiije
koī  to  hal  zarūr  niklegā
talḳh  mauzūa  pe  mashvara  kiije
zindagī  kahte  ik  tamāshā  hai
apnā  kirdār  bas  adā  kiije
ham  ne  bas  ik  umiid  bāñdhī  hai
kam  se  kam  aap  kuchh  nayā  kiije
mil  ke  hijr-o-visāl  sahnā  hai
ham-safar  apnā  ham-navā  kiije
apnā  mafhūm  aap  ko  dūñgā
aap  bas  sher  kah  diyā  kiije