ye  ka.aba  ye  kāshī  haram  dekhte  haiñ
ki  apnā  ḳhudā  tujh  meñ  ham  dekhte  haiñ
zamāne  ke  sab  ḳhūbsūrat  nazāre
tumhārī  hī  āñkhoñ  se  ham  dekhte  haiñ
nahīñ  kuchh  bharosa  hameñ  agle  pal  kā
nazar  bhar  ke  tum  ko  sanam  dekhte  haiñ
tirī  intizārī  se  uktā  gayā  dil
tirī  raah  muddat  se  ham  dekhte  haiñ
yahī  nasl-e-nau  kā  tarīqa  hai  logoñ
alag  zāviye  se  qalam  dekhte  haiñ
hamārī  ġhazal  ho  ga.ī  kahkashāñ  na
jahāñ  tak  sitāroñ  ko  ham  dekhte  haiñ
ġhazal  le  rahī  hai  na.ī  ek  karvaT
ye  'dushyant'  'ġhālib'  adam  dekhte  hai