un  ke  jalve  sahar-o-shām  tak  aa  pahuñche  haiñ
mere  āġhāz  ab  anjām  tak  aa  pahuñche  haiñ
hazrat-e-ḳhizr  pareshāñ  na  ho  ārām  kareñ
ham  bhī  ab  manzil-e-ārām  tak  aa  pahuñche  haiñ
tohmat-e-ishq  meñ  ham  aaj  akele  to  nahīñ
vo  bhī  ab  markaz-e-ilzām  tak  aa  pahuñche  haiñ
mai-kasho  muzda-e-mastī  ki  janāb-e-vā.iz
baḌh  ke  ab  tazkira-e-jām  tak  aa  pahuñche  haiñ
us  ko  merāj-e-vafā  kyuuñ  na  kahūñ  jab  akasr
bil-irāda  vo  mire  naam  tak  aa  pahuñche  haiñ
ye  mirā  zabt  ki  maiñ  apnī  jagah  huuñ  mohtāt
dar-haqīqat  mujhe  paiġhām  tak  aa  pahuñche  haiñ
dekh  kar  tañg-dilī  bazm  meñ  saaqī  kī  'safīr'
riñd  bhī  jur.at-e-nākām  tak  aa  pahuñche  haiñ