baḌī  ibrat  kī  manzil  hai  zamīñ  gor-e-ġharībāñ  kī
yahāñ  apnī  haqīqat  par  nazar  paḌtī  hai  insāñ  kī
yahī  dhun  thī  kahīñ  merā  dil-e-gum-gashta  mil  jaa.e
isī  vahshat  meñ  barsoñ  ḳhaak  chhānī  kū-e-jānāñ  kī
jahāñ  nabzeñ  rukīñ  dil  sard  ho  do  hichkiyāñ  aa.iiñ
samajh  liije  ki  manzil  aa  ga.ī  gor-e-ġharībāñ  kī
na  jā.egā  mere  dil  se  ḳhayāl-e-abrū-e-dil-bar
ki  teġhoñ  hī  ke  saa.e  meñ  to  hai  jannat  musalmāñ  kī
fanā-e-ishq  ho  kar  zinda-e-jāved  hotā  hai
miTā  kar  dekhiye  hastī  nahīñ  miTtī  hai  insāñ  kī
yahāñ  rone  se  ho  maqsūd  hāsil  ġhair-mumkin  hai
chalo  ab  sham.eñ  bhī  bujhne  lagīñ  gor-e-ġharībāñ  kī
'safīr'  ik  ḳhvāb  thī  ye  chand  roza  zindagī  apnī
ajal  se  mil  ga.ī  ta.abīr  is  ḳhvāb-e-pareshāñ  kī