aap  ko  gardish-e-ayyām  se  Dar  lagtā  hai
aur  hameñ  ishq  ke  anjām  se  Dar  lagtā  hai
chashm-e-sāqī  ke  ishāre  meñ  nihāñ  kyā  shai  thī
hasrat-e-bāda-e-gulfām  se  Dar  lagtā  hai
zer-e-lab  un  ke  tabassum  se  sukūn  maañg  to  luuñ
apnī  hī  jur.at-e-nākām  se  Dar  lagtā  hai
naam  jo  āTh-pahr  vird-e-zabāñ  rahtā  thā
ab  ye  vahshat  hai  usī  naam  se  Dar  lagtā  hai
hazrat-e-ḳhizar  se  thī  rāhbarī  kī  ḳhvāhish
ab  usī  ḳhvāhish-e-nākām  se  Dar  lagtā  hai
manzileñ  ishq  kī  be-ḳhauf-o-ḳhatar  tai  kiiñ  haiñ
ab  ye  aalam  hai  ki  har  gaam  se  Dar  lagtā  hai
kyuuñ  vazīfa  sahar-o-shām  kiyā  tark  'safīr'
kyuuñ  ḳhyāl-e-sahr-o-shām  se  Dar  lagtā  hai