dil  kī  māyūs  tamannāoñ  ko  mar  jaane  do
dard  ko  āḳhirī  manzil  se  guzar  jaane  do
maiñ  ne  kab  sāġhar-o-sahbā  se  kiyā  hai  inkār
nashsha-e-bāda-e-hastī  to  utar  jaane  do
jis  kī  ai  ahl-e-chaman  kī  hai  lahū  se  ta.amīr
ab  vo  shīrāza-e-gulshan  na  bikhar  jaane  do
chaar  tinkoñ  kī  bhī  ta.amīr  hai  koī  ta.amīr
fasl-e-gul  aa.egī  rakh  leñge  bikhar  jaane  do
lazzat-e-ġham  se  taḌapne  meñ  maza  aatā  hai
lazzat-e-ġham  se  tabī.at  mirī  bhar  jaane  do
inqalāb  aa.egā  koī  ki  bahār  aa.egī
ḳhāl-o-ḳhad  chehra-e-gītī  ke  nikhar  jaane  do
ham  se  badle  hue  tevar  haiñ  zamāne  ke  'safīr'
us  ne  dekhī  hai  hamārī  bhī  nazar  jaane  do