ye  lau  kaisī  hai  jo  ik  saañs  bhī  maddham  nahīñ  hotī
bhulāne  par  bhī  zālim  yaad  us  kī  kam  nahīñ  hotī
ye  matlab-āshnā  duniyā  ye  zālim  bevafā  duniyā
sharīk-e-aish  kar  liije  sharīk-e-ġham  nahīñ  hotī
adam  ke  jaane  vaale  qāfile  din-rāt  chalte  haiñ
magar  is  anjuman  kī  dilkashī  kuchh  kam  nahīñ  hotī
na  pūchh  ai  ham-nashīñ  rūdād-hā-e-shām-e-ġham  ham  se
qayāmat  kī  sahar  hotī  hai  shām-e-ġham  nahīñ  hotī
bhulāyā  hai  mujhe  tū  ne  tirī  barham-mizājī  ne
magar  bedard  terī  yaad  phir  bhī  kam  nahīñ  hotī
nahīñ  vāqif  tū  ai  dil  ātish-e-soz-e-mohabbat  se
ye  daulat  jis  qadar  aatī  hai  ghar  meñ  kam  nahīñ  hotī
'safīr'  ab  tak  to  rūdād-e-mohabbat  ḳhaam  hai  terī
abhī  to  aañkh  bhī  fart-e-alam  se  nam  nahīñ  hotī