na  ho  marzī  ḳhudā  kī  to  kisī  se  kuchh  nahīñ  hotā
jo  chāhe  aadmī  to  aadmī  se  kuchh  nahīñ  hotā
kahāñ  ke  dost  kaise  aqrabā  jab  vaqt  paḌtā  hai
musībat  meñ  kisī  kī  dostī  se  kuchh  nahīñ  hotā
amal  kī  zindagānī  dar-haqīqat  zindagānī  hai
jiye  jaao  to  ḳhālī  zindagī  se  kuchh  nahīñ  hotā
ajal  aa.egī  jaañ  jā.egī  ik  sā.at-muayyan  par
azīz-o-aqribā  kī  pairvī  se  kuchh  nahīñ  hotā
adab  ke  qadr-dāñ  bazm-e-adab  se  uThte  jaate  haiñ
lo  rakkho  shā.irī  ab  shā.irī  se  kuchh  nahīñ  hotā
mirī  hālat  ye  kuchh  maḳhsūs  dil  bechain  haiñ  lekin
ye  mushkil  hai  kisī  kī  bekalī  se  kuchh  nahīñ  hotā
'safīr'  is  zindagī  meñ  vaqt  bhī  tevar  badaltā
na  ghabrāo  kisī  kī  dushmanī  se  kuchh  nahīñ  hotā