Nasr Ghazali

barf-zar-e-jaan ki tah mein kholte pani ka hai

Nasr Ghazali

barf-zār-e-jāñ kī tah meñ kholte paanī kā hai
jo bhī qissa hai lahū kī sho.ala-sāmānī kā hai
āsmāñ se raushnī utrī bhī dhuñdlā bhī chukī
naam raushan hai to bas zulmat kī tābānī kā hai
regzār-e-lab ki har sū ug rahī hai tishnagī
aañkh meñ manzar uchhalte-kūdte paanī kā hai
be-sabab hargiz nahīñ dast-e-karam kam kam idhar
us ko andāza hamārī tañg-dāmānī kā hai
shahr ho yā ho bayābāñ ghar ho yā koī khañDar
silsila chāroñ taraf ġhūl-e-bayābānī kā hai
moḌ par pahuñche to dekhoge ki har manzil hai sahl
bas yahī ik rāsta hai jo pareshānī kā hai
Top Urdushayar.com