Sarmad Sahbai

dam junun ki had-e-intiha pe Thahra hai

Sarmad Sahbai

1945

dam junūñ had-e-intihā pe Thahrā hai

ye merā dil hai abhī ibtidā pe Thahrā hai

usī ke lams se āb-o-havā badaltī hai

tamām manzar-e-jāñ ik adā pe Thahrā hai

kanār-e-kun se pare hai kahīñ vajūd apnā

ye kārvāñ to ġhubār-e-sadā pe Thahrā hai

kuchh aur der numā.ish hai shor-o-shar yahāñ

ye ik habāb hai mauj-e-fanā pe Thahrā hai

shuā-e-sub.h bun-e-gosh meñ utartī hai

zavāl-e-mehr ki dast-e-hinā pe Thahrā hai

shab-e-siyāh sar-e-ḳhāl meñ simaTtī hai

sitāra TuuT ke band-e-qabā pe Thahrā hai

nafas nafas meñ bhaḌaktī hai dil lau 'sarmad'

ajab charāġh hai ye bām-e-hū pe Thahrā hai

Top Urdushayar.com