dikhā.ī  de  na  kabhī  ye  to  mumkināt  meñ  hai
vo  sab  vajūd  meñ  hai  jo  tasavvurāt  meñ  hai
maiñ  jis  hunar  se  huuñ  poshīda  apnī  ġhazloñ  meñ
usī  tarah  vo  chhupā  saarī  kā.enāt  meñ  hai
ki  jaise  jism  kī  rag  rag  meñ  dauḌtā  hai  lahū
isī  tarah  vo  ravāñ  arsa-e-hayāt  meñ  hai
ki  jaise  sañg  ke  siine  meñ  koī  but  hai  nihāñ
usī  tarah  koī  sūrat  taḳhaiyyulāt  meñ  hai
ki  jaise  vaqt  guzarne  kā  kuchh  na  ho  ehsās
usī  tarah  vo  sharīk-e-safar  hayāt  meñ  hai
ki  jaise  bū-e-vafā  ḳhud-supurdagī  meñ  mile
usī  tarah  kī  mahak  us  kī  iltifāt  meñ  hai
ki  jaise  jhuuT  ka.ī  jhuuT  ke  sahāre  le
usī  tarah  vo  pareshāñ  takallufāt  meñ  hai
gunāh  bhī  koī  jaise  kare  Dare  bhī  bahut
usī  tarah  kī  jhijhak  us  kī  baat  baat  meñ  hai
bas  ab  to  ishq  hai  hijr-o-visāl  kuchh  bhī  nahīñ
ye  TukḌā  ziist  kā  din  meñ  hai  aur  na  raat  meñ  hai
nazar  ke  zāviye  badle  hai  aur  kuchh  bhī  nahīñ
vahī  hai  ka.abe  meñ  jo  'nūr'  somnāth  meñ  hai