hastī ko mirī mastī-e-paimāna banā de
ai be-ḳhabarī hāsil-e-mai-ḳhāna banā de
tālib huuñ maiñ us ek nigāh-e-do-asar kā
jo hosh meñ lā kar mujhe dīvāna banā de
ai barhaman ik din but-e-pindār ko apne
toḌ aur charāġh-e-dar-e-but-ḳhāna banā de
kah do ki bahār aa.e to be-kār na baiThe
dīvāna bane yā mujhe dīvāna banā de
dīvāngī-e-ishq baḌī chiiz hai 'sīmāb'
ye us kā karam hai jise dīvāna banā de