misāl-e-aks  kunj-e-zāt  se  bāhar  rahā  huuñ  maiñ
ki  āp-apne  muqābil  ā.īna  ban  kar  rahā  huuñ  maiñ
ajab  mausam  thā  jab  qurbat  tirī  sarmāya-e-jāñ  thī
vahī  mausam  hai  aur  tark-e-ta.alluq  kar  rahā  huuñ  maiñ
tumhārī  mushkileñ  āsāñ  huī  haiñ  Dūbne  vālo!
mujhe  dekho  ki  saarī  umr  sāhil  par  rahā  huuñ  maiñ
isī  māmūra-e-ḳhvābīdgāñ  shahr-e-ḳhamoshāñ  meñ
na  jaane  zindagī  kā  svāñg  kab  se  bhar  rahā  huuñ  maiñ
mujhe  guzre  hue  lamhoñ  ne  itne  zaḳhm  baḳhshe  haiñ
ki  jo  guzrā  nahīñ  us  lamhe  se  bhī  Dar  rahā  huuñ  maiñ
shikast  is  ko  kahūñ  yā  fat.h-mandī  kah  ke  ḳhush  ho  luuñ
ki  altāf-e-raqībāñ  se  bhī  bahra-var  rahā  huuñ  maiñ
dar-o-dīvār  o  saqf-o-bām  sab  apnī  jagah  par  the
to  phir  kyā  baat  thī  jis  ke  sabab  be-ghar  rahā  huuñ  maiñ
tirī  ḳhātir  jo  merī  ḳhud-fareb  āñkhoñ  ne  dekhe  the
unhīñ  TuuTe  hue  ḳhvāboñ  kā  nauhagar  rahā  huuñ  maiñ
bahut  din  ba.ad  kuchh  an-dekhe  ḳhvāb  utre  haiñ  āñkhoñ  meñ
siyah  ḳhāne  meñ  kyā  kyā  sham.a  raushan  kar  rahā  huuñ  maiñ
ajab  ahvāl  hai  dasht-e-talab  meñ  ḳhud-farebī  kā
ki  thak  kar  gir  chukā  huuñ  raah  bhī  tai  kar  rahā  huuñ  maiñ
ye  lamha  lamha  zinda  rahne  kī  ḳhvāhish  kā  hāsil  hai
ki  lahza  lahza  apne-āp  hī  meñ  mar  rahā  huuñ  maiñ
isī  nisbat  se  baḌhtī  jā  rahī  hai  tishnagī  merī
ki  jis  sur.at  se  jām-e-umr  ḳhālī  kar  rahā  huuñ  maiñ