Mushfiq Khwaja

kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
kyuuñ ḳhalvat-e-ġham meñ rahte ho kyuuñ gosha-nashīñ bekār hue
āḳhir tumheñ sadma kyā pahuñchā kyā soch ke ḳhud-āzār hue
kyuuñ saaf kushāda rastoñ par tum Thokareñ khāte phirte ho
kyuuñ tīra-o-tār sī galiyoñ meñ tum un ke ḳhush-raftār hue
kyā uThte baiThte sochte ho kyā likhte paḌhte rahte ho
is umr meñ ye be-kaifī kyuuñ kis vāste nek-atvār hue
kyuuñ aise safar par nikle ho manzil nahīñ jis kī koī bhī
kyuuñ aisī raah pe chalte ho saa.e bhī jahāñ dīvār hue
kyuuñ tark-e-alā.iq ko tum ne samjhā hai ilāj-e-ġham āḳhir
dekho to valī suufī bhī yahāñ kis ThaaT ke duniyā-dār hue
is kalba-e-ahzāñ se hargiz ubhregā na sūraj koī bhī
kab ḳhaak sitāra-bār huī kab saa.e sahar-āsār hue
kab sub.h ke naale kaam aa.e kyā girya-e-nīm-shabī se milā
is qarya-e-ḳhvāb-faroshāñ meñ tum kis ke liye bedār hue
Top Urdushayar.com