kyuuñ  ḳhalvat-e-ġham  meñ  rahte  ho  kyuuñ  gosha-nashīñ  bekār  hue
āḳhir  tumheñ  sadma  kyā  pahuñchā  kyā  soch  ke  ḳhud-āzār  hue
kyuuñ  saaf  kushāda  rastoñ  par  tum  Thokareñ  khāte  phirte  ho
kyuuñ  tīra-o-tār  sī  galiyoñ  meñ  tum  un  ke  ḳhush-raftār  hue
kyā  uThte  baiThte  sochte  ho  kyā  likhte  paḌhte  rahte  ho
is  umr  meñ  ye  be-kaifī  kyuuñ  kis  vāste  nek-atvār  hue
kyuuñ  aise  safar  par  nikle  ho  manzil  nahīñ  jis  kī  koī  bhī
kyuuñ  aisī  raah  pe  chalte  ho  saa.e  bhī  jahāñ  dīvār  hue
kyuuñ  tark-e-alā.iq  ko  tum  ne  samjhā  hai  ilāj-e-ġham  āḳhir
dekho  to  valī  suufī  bhī  yahāñ  kis  ThaaT  ke  duniyā-dār  hue
is  kalba-e-ahzāñ  se  hargiz  ubhregā  na  sūraj  koī  bhī
kab  ḳhaak  sitāra-bār  huī  kab  saa.e  sahar-āsār  hue
kab  sub.h  ke  naale  kaam  aa.e  kyā  girya-e-nīm-shabī  se  milā
is  qarya-e-ḳhvāb-faroshāñ  meñ  tum  kis  ke  liye  bedār  hue