Seemab Akbarabadi

nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
nasīm-e-sub.h gulshan meñ guloñ se kheltī hogī
kisī kī āḳhirī hichkī kisī kī dil-lagī hogī
tujhe dānista mahfil meñ jo dekhā ho to mujrim huuñ
nazar āḳhir nazar hai be-irāda uTh ga.ī hogī
maza aa jā.egā mahshar meñ kuchh sunñe sunāne kā
zabāñ hogī hamārī aur kahānī aap kī hogī
yahī aalam rahā parda-nashīnī kā to zāhir hai
ḳhudā.ī aap se hogī na ham se bandagī hogī
ta.ajjub kyā lagī jo aag ai 'sīmāb' siine meñ
hazāroñ dil meñ añgāre bhare the lag ga.ī hogī
Top Urdushayar.com