Seemab Akbarabadi

jo mere tangna-e-dil mein tujhko jalwa-gar dekha

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951

jo mere tañgnā-e-dil meñ tujh ko jalva-gar dekhā

mirī nazroñ ne hairat se mujhī ko umr bhar dekhā

tasavvur hadoñ meñ bhī samānā jin mushkil thā

nazar vāloñ ne un jalvoñ ko tā-hadd-e-nazar dekhā

sab apne dil meñ ik tīr-e-nazar mahsūs karte haiñ

magar koī batā saktā nahīñ us ne kidhar dekhā

ta.ayyun bar-taraf maqsūd mujh ko sajda karnā thā

na ham ne rahguzar dekhī na ham ne sañg-e-dar dekhā

nazar aatā na thā jo gard-e-afkār-o-havādis meñ

vo sāhil aañkh ne tūfān-e-ġham meñ Duub kar dekhā

tumhāre sañg-e-dar ko sañg-e-dar maiñ kis tarah samjhūñ

ki jab sajda kiyā sar ko jabīn-e-arsh par dekhā

ajab manzil thī ai 'sīmāb' apnī manzil-e-hastī

na mauqa.a thā Thaharne na yārā-e-safar dekhā

Top Urdushayar.com