bas  ek  vaqt  kā  ḳhanjar  mirī  talāsh  meñ  hai
jo  roz  bhes  badal  kar  mirī  talāsh  meñ  hai
ye  aur  baat  ki  pahchāntā  nahīñ  hai  mujhe
sunā  hai  ek  sitamgar  mirī  talāsh  meñ  hai
adhūre  ḳhvāboñ  se  uktā  ke  jis  ko  chhoḌ  diyā
shikan-nasīb  vo  bistar  mirī  talāsh  meñ  hai
ye  mere  ghar  kī  udāsī  hai  aur  kuchh  bhī  nahīñ
diyā  jalā.e  jo  dar  par  mirī  talāsh  meñ  hai
aziiz  huuñ  maiñ  mujhe  kis  qadar  ki  har  ik  ġham
tirī  nigāh  bachā  kar  mirī  talāsh  meñ  hai
maiñ  ek  qatra  huuñ  merā  alag  vajūd  to  hai
huā  kare  jo  samundar  mirī  talāsh  meñ  hai
vo  ek  saaya  hai  apnā  ho  yā  parāyā  ho
janam  janam  se  barābar  mirī  talāsh  meñ  hai
maiñ  devtā  kī  tarah  qaid  apne  mandir  meñ
vo  mere  jism  se  bāhar  merī  talāsh  meñ  hai
maiñ  jis  ke  haath  meñ  ik  phuul  de  ke  aayā  thā
usī  ke  haath  kā  patthar  merī  talāsh  meñ  hai
vo  jis  ḳhulūs  kī  shiddat  ne  maar  Daalā  'nūr'
vahī  ḳhulūs  muqarrar  mirī  talāsh  meñ  hai