bāzār-e-kā.ināt  meñ  ye  faisla  huā
yārān-e-ḳhush-adā  ho  tamasḳhur  ravā  huā
bijlī  kaḌak  rahī  thī  ajab  ehtimām  se
bachcha  duā.eñ  maañg  rahā  thā  Darā  huā
vahshat  nahīñ  junūn  nahīñ  phir  bhī  iztirāb
nau-vāridān-e-ishq  huā  so  to  kyā  huā
aa.ī  thī  dasht-e-qais  meñ  rusvā  huī  chalī
āvārgī  ke  saath  bhī  kitnā  burā  havā
maiñ  shor  karne  vaale  qabīle  kā  fard  thā
par  boltā  nahīñ  thā  jabhī  to  ḳhudā  huā
māhaul  ḳhush-gavār  havā  bhī  thī  tāza-dam
ik  phuul  dast-e-shāḳh  pe  naġhma-sarā  huā
terī  hī  guftugū  se  kiyā  paidā  ik  ḳhayāl
phir  sher  kahne  lag  gayā  lahja  nayā  huā
kal  raat  ma.arka  thā  ajab  darmiyān  kā
merī  to  yaar  ḳhair  hai  duniyā  kā  kyā  huā