Osaama ameer

kabhi kabhi main unhen dil mein aan rakhta hun

Osaama ameer

1998
kabhī kabhī maiñ unheñ dil meñ aan rakhtā huuñ
phir ek ḳhvāb meñ donoñ jahān rakhtā huuñ
jab āsmān sabhī ke saroñ pe qaa.em hai
to kis ke vāste maiñ sā.ebān kartā huuñ
maiñ lafz-o-ma.anī badalte hue sar-e-qirtās
palaT ke phir vahī nauha bayān rakhtā huuñ
azal se ek hī nuqsān khā rahā hai mujhe
azal se ḳhud ko faqat rā.egān rakhtā huuñ
sadā-e-kun pe binā aadmī kī rakkhī ga.ī
is ek saut pe maiñ apne kaan rakhtā huuñ
ajiib ramz hai qirtās aur lakīr ke beach
zamīn khīñchtā huuñ āsmān rakhtā huuñ
purānā aks nayā aks ban ke ubhregā
maiñ aa.ine ke muqābil gumān rakhtā huuñ
vo mere vāste kyā kyā sambhāle rakhtā hai
maiñ us ke vāste kis kis kā dhyān rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com