kabhī  kabhī  maiñ  unheñ  dil  meñ  aan  rakhtā  huuñ
phir  ek  ḳhvāb  meñ  donoñ  jahān  rakhtā  huuñ
jab  āsmān  sabhī  ke  saroñ  pe  qaa.em  hai
to  kis  ke  vāste  maiñ  sā.ebān  kartā  huuñ
maiñ  lafz-o-ma.anī  badalte  hue  sar-e-qirtās
palaT  ke  phir  vahī  nauha  bayān  rakhtā  huuñ
azal  se  ek  hī  nuqsān  khā  rahā  hai  mujhe
azal  se  ḳhud  ko  faqat  rā.egān  rakhtā  huuñ
sadā-e-kun  pe  binā  aadmī  kī  rakkhī  ga.ī
is  ek  saut  pe  maiñ  apne  kaan  rakhtā  huuñ
ajiib  ramz  hai  qirtās  aur  lakīr  ke  beach
zamīn  khīñchtā  huuñ  āsmān  rakhtā  huuñ
purānā  aks  nayā  aks  ban  ke  ubhregā
maiñ  aa.ine  ke  muqābil  gumān  rakhtā  huuñ
vo  mere  vāste  kyā  kyā  sambhāle  rakhtā  hai
maiñ  us  ke  vāste  kis  kis  kā  dhyān  rakhtā  huuñ