jab  raushnī  chamkī  to  uThāyā  sar-e-sāhil
miTTī  ke  pyāle  meñ  thā  sonā  sar-e-sāhil
paanī  pe  makāñ  jaise  makīñ  aur  kahīñ  ġham
kuchh  aise  nazar  aa.ī  thī  duniyā  sar-e-sāhil
jab  tai  ho  mulāqāt  us  āshufta-sarī  se
tum  aur  hī  kuchh  rañg  pahannā  sar-e-sāhil
kashtī  meñ  nazar  aa.ī  thī  jannat  kī  tajallī
patvār  uThāte  hī  maiñ  bhāgā  sar  sāhil
ab  qaum  utāre  koī  siine  pe  hamāre
pahle  to  utārā  thā  sahīfa  sar-e-sāhil
maiñ  haath  baḌhātā  to  bhalā  kaise  baḌhātā
tasvīr  meñ  the  sāġhar-o-mīnā  sar-e-sāhil
ham  log  karachi  ke  ajab  log  haiñ  sāhab
khānā  hai  samundar  meñ  to  piinā  sar-e-sāhil