ye  koī  dil  to  nahīñ  hai  ki  Thahar  jā.egā
vaqt  ik  ḳhvāb-e-ravāñ  hai  so  guzar  jā.egā
har  guzarte  hue  lamhe  se  yahī  ḳhauf  rahā
hasratoñ  se  mire  dāman  ko  ye  bhar  jā.egā
dil  shafaq-rañg  huā  Dūbte  sūraj  kī  tarah
raat  aa.egī  to  har  ḳhvāb  bikhar  jā.egā
shiddat-e-ġham  se  milā  ziist  ko  mafhūm  nayā
ham  samajhte  the  ki  dil  jiine  se  bhar  jā.egā
chand  lamhoñ  kī  rifāqat  hī  ġhanīmat  hai  ki  phir
chand  lamhoñ  meñ  ye  shīrāza  bikhar  jā.egā
apnī  yādoñ  ko  sameTeñge  bichhaḌne  vaale
kise  ma.alūm  hai  phir  kaun  kidhar  jā.egā
yādeñ  rah  jā.eñgī  aur  yādeñ  bhī  aisī  jin  kā
zahr  ā.ankhoñ  se  rag-o-pai  meñ  utar  jā.egā