Najm Aafandi

hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur

Najm Aafandi

Agra, Uttar pradesh, India

1893-1975
hastī koī aisī bhī hai insāñ ke sivā aur
maz.hab kā ḳhudā aur hai matlab kā ḳhudā aur
phir Thahar gayā qāfila-e-dard sunā hai
shāyad koī raste meñ mirī tarah girā aur
ik jurra-e-āḳhir kī kamī rah ga.ī āḳhir
jitnī vo pilāte ga.e āñkhoñ ne kahā aur
mimbar se bahut fasl hai maidān-e-amal kā
taqrīr ke mard aur haiñ mardān-e-viġhā aur
allāh gila kar ke maiñ pachtāyā huuñ kyā kyā
jab ḳhatm huī baat kahīñ us ne kahā aur
kyā zer-e-lab dost hai iz.hār-e-jasārat
haq ho ki vo nāhaq ho zarā lai to baḌhā aur
daulat kā to pahle hī gunahgār thā mun.im
daulat kī mohabbat ne gunahgār kiyā aur
ye vahm sā hotā hai mujhe dekh ke un ko
sīrat kā ḳhudā aur hai sūrat kā ḳhudā aur
Top Urdushayar.com